728x90 AdSpace

Latest News

Follow Us

Ads

2 line poetry
Sunday, 8 November 2015

Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar - Bashir Badr

Bashir Badr Ghazal

Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha 
Kashti Ke Musafir Ne Samander Nahi Dekha

Be Waqt Ager Ghar Jaon Ga Sab Chonk Parein Gey 
Ik Muddat Hui Din Me Kabhi Ghar Nahi Dekha

Jis Din Se Chala Hon Meri Manzil Pe Nazar Hai 
Aankhon Ne Kabhi Mail Ka Pathar Nahi Dekha

Yaaron Ki Mohabbat Ka Kar Liya Yaqeen Mein Ne 
Phoolon Mein Chupaya Hua Khanjar Nahi Dekha

Ye Phool Mujhe Koi Wirasat Mein Mile Hain 
Tum Ne Mera Kanton Bhara Bistar Nahi Dekha

Pathar Mujhe Kehta Hai Mera Chahne Wala 
Mein Mom Hun, Us Ne Mujhe Chu Kar Nahi Dekha

Wo Shakhs Mere Masail Ko Samajh Nahi Sakta 
Jis Ne Meri Aankhon Mein Samander Nahi Dekha

  • Blogger Comments
  • Facebook Comments

0 comments:

Post a Comment

Item Reviewed: Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar - Bashir Badr Rating: 5 Reviewed By: Unknown